Sunday, August 31, 2008

Vichaardhara

ek vichaar.........
hamare hone ki wajah
wo ek vichaar...
jise pehchnna aasan nahi
jo bina aahat k jivan me pravesh karta hai
jiska astitva hamse bada hai
taaumra hamare saath rehta hai
aur hamare baad bhi...
jo hamari pehchaan ban jata hai,
jise badalna ya mitana namumkin ho jaye
wo ek vichaar...
jo hamari prerna hai
jo jivan mrityu se pare hai
swakshand hai khule antriksh me
wohi vichaar...
jivan ki sachchai hai
jise manushya dhoondh raha hai
usi k antarman ki rudan
wo ek vichaar...

1 comment:

Anonymous said...

vichaardhara...!!
jo ki khud me itna bada shabd hai ki uss par koi tippadi karna sooraj ko diya dikhane ke samaan hai...
kintu wo ek vichaar jiski aap baat kar rahi hain poorntah anbhigya hai logon se jo jeevan ko chale aaye dharre par hi jeete rahte hain.aur wahi ek vichaar astitva me hai un logon ke liye jo jeevan ko sahi maayne dene ke ikshuk hain....